Dunya bhar ke lye intehai halakat khez bimaryon me hepatitis sab se zyada khatarnak hai yun hepatitis “A” or “C” apni noiyat shidat ke aetabar se kisi bhi tarha hepatitis “B” se kam nahi lekin safaki, halakat khezi or sakht jani ke bais dunya bhar ke mahirin or insan dost adare hepatitis “B” ke lye sakht ahdaf rakhte hain, har baras lakhon afrad ko zindagi se mehrom karne wale ek or marz “aids” ke muqable me hepatitis “B” ko zyada khatarnak qarar dete hain. Hepatitis “B” dunya ke taqriban har mulk me mojud hai. ye dunya ki taraqi yafta ala mayar ke mutabiq zindagi basar karane walo ko bhi moqa milte hi apna hadaf bana leta hai jis tarha ye taraqi pazir or pasmanda mumalik ke sehat ki sahulyat se mehrom logon ka shikar karta hai.
Hepatitis “B” ka ek qabile tawaja pehlo ye bhi hai k intehai tezi se phelta hai. dunya me 2 arab se zyada afrad is virus se mutasir hain un me 40 crore afrad me marz is had tak sarait kar chukka hai k ye log apne ird gird ke kai guna zyada afrad ke lye jita jagta khatra ban chuke hain. Hepatitis “B” ke daimi mariz jigar ke cencer me mubtala hone ka khatra rakhte hain. Aese log laelaj zamre meshumar hote hain lekin is se bachao mumkin hai.
Dunya me hepatitis “B” ki giraft ka andaza is bat se lagaya ja sakta haik jadid tibi sahuliyat rakhne wale America or har 20th fard hepatitis “B” kashikar hai. yahan har sal 2 lakh afrad hepatitis “B” virus ki zad me ate hain. Naye marizon ki ek bari tadad is bat se lailm hoti hai k wo kab or kis tarha hepatitis ka nishana bane gi. America me ostan har sal 5000 afrad hepatitis ke bais halak ho rahe hain is se americi hospital ka tibi amla mehfoz nahi. Wahan har sal secron tibi muawonen hepatitis “B” se mutasir hojate hai halanke hepatitis “B” se bachao ki vaccine dastiyab hai or is ka elaj mumkin hai.
Mukhtalif khaton me “HBV” infection hone ke asbab mukhtalif hain. Asia or afriqa me “HBV” infection aksar or beshtar awail umar me hojate hai is kasabab maa banti hai ya phir mutasira afrad ke sath qaribi taluq is ka sabab banta hai. asia kijitni bhi balig abadi “HBV” ke infection se mutasira hai us me se kamaz kam 25 % ko ye infection apni olad ke doran maa se muntaqil hua hai.
Hepatitis “B” K Muntaqli Ke Zarae
- Ye virus bunyadi tor pr mutasira fard ke khon ya khon keajza se dosre fard memuntaqil hota hai.
- Jinsi taluq jo hepatitis “B” memubtala hon aese fard se jinsi taluq se phelta hai.
- Virus se aluda siring , acupuncture, suiyon ya jisin chidwane (tetu) kealat kajisim me pewast hona.
- Hepatitis zada maa se doran pedaish ye marz bache komuntaqil ho sakta hai.
- Albata ye mutasira fard ke thok, madhayat or naswani aza ke sayal madon me bhi hota hai.
Alamat
- Thakan, bukhar, sardi mehsos hona bhok me kami, matli, dairia, sar dard pet ke opri hise me dard or ankhon ki safedi ka zard hona.
- Viral infection ki alamat me ankhon ki rangat me tabdili chand din se le kar 15 din me bhi ho sakti hai. is sorat me kuch log jild me kharish mehsos karte hain. Urine ka rang badal jata hai.
Nishaniyan
Doctor muaine me jigar ubhara hua mehsos karta hai or is pr halka sa dabao bhi dard ka ahsas paida karta hai. baz soroton me tili (spleen) ya gale ki lymph nodes barhi hui ho sakti hai intehai kam soroton me joron ka dard or kharish bhi ho sakti hai. hepatitis me tili ka mutasir hona anhoni bat nahi q k tili difai nizam, blood storage or blood cells ki nashonuma samet kai kamon me mawon hoti hao jabke lymph nodes jisim ke mukhtalif aza ne nikalne wala lymph filter karne ke elawa infections ke khilaf jang karte hain.
Hepatitis “B” Ki Ahtiyaten:
1. Koi bhi chez istamal na Karen or jo kisi or ke khon se aluda ho sakti hai kabhi bhi kisi or ki istamal shuda aesi ashya (bled, tooth brush0 istamal na Karen jin pr us ka khon lag sakta hai.
2.Siring se nasha karne ki sorat me sui, siring, roi, mehlol, bartan wagera ka mushtarka istamal na Karen. Hepatitis “A” or “B” vaccine lagwaen.
3.Jisim pr naqsh wangar gawane se qabal is ke khatrat zehan me laen. Agar naqash ne is amal me mehfoz suiyan or alat istamal na kye, safai ka ahtamam nahi rakha to aap infection ka shikar ho sakte hain. Aluda sui aap ko hepatitis “B” or “C” me mubtala kar sakti hai or nak chidwane me bhi yahi imkan rehta hai lehaza har bar nayi sui ya jarasim se mukamal tor pr mehfoz alat istamal kya jana chahye.
4.Hepatitis “B” ka shikar maa ke no molud bache ke lye 9 se 15 mah ki umar me blood test zarori hai ta k un ke mehfoz hone ka tain ho jae.
5. Mayari ahtiyat made nazar rakhye. Agar ap health care ka rukun hain to zarori ahtiyat se kaam len. Suiyan or dhar wale alad mehfoz tor pr istamal Karen. Hepatitis “B” vaccine lagwaen.
Agarcha hepatitis “B” virus ka taluq jigar ke amraz se hai tahum jinlogon me mojud hota haiwobhilambi or sehat mand zindagi guzar sakte hain.
Aese afrad jin me hepatitis “B” virus ki mojudgi sabit ho chuki ho, darj zel ahtiyati iqdamat karne chahye :
Zachgi kedoran ahtiyat :
Agar aap me hepatitis “B” virus mojud hai to ho sakta hai k zachgi ke doran ye virus aap apne bache ko muntaqil kar den lehaza zarori hai k aap apni marz ke bare me doctor ko lazman agah kar den ta k wo aap ke nozaida bache ko hepatitis “B” virus se bachne ke lye zarori intezamat kare or pedaish ke chand ghanton ke andar use hepatitis “B” immune globulin or digar vaccine laga sake. Ye tariqa bache ko hepatitis “B” virus se bachane me 95 % tak kamyab rehte hain.
Ahle Khana Ke Lye Ahtiyat
Khayal rakhye k ahal khana or digar qaribi log vaccine se mehfoz banae ja chuke hon. agar aap me hepatitis “B” virus mojud hai to aap ka khon or digar jismani ratubaten is virus ko dosron tak muntaqil karne ka sabab ban sakti hain lehaza aap ke ahal khana sharike hayat or un tamam logon ko jin se aap ka qaribi taluq hai hepatitis “B” vaccine zaror lagwani chahye.
Apna khon dosron tak pohnchne se rokhen
Is ke lye tamam zakhmon pr achi tarha pathi bandh kar rakhen. hez or nafas se aluda kapron ko puri ahtiyat se sath talf Karen. Apna khon or aza har giz atya mat Karen. agar aap ke sharike hayat khud ko vaccine ke zarye mehfoz nahi banaya to har giz gair mehfoz jinsi taluq qaim na Karen.hifzane sehat ke zati asolon pr karband rahen. Or aesi tamam ashya dosron komat den jin se aapka shon ya digar ratubat kisi or tak pohnch saken. Maslan tooth brush, nakhun katne ka ala, bunde, baliyan, shewing razer or suiyan wagera.
Giza
Hepatitis “B” ke mariz ke lye koi khas giza tajwiz nahi ki jati. Tahum hari or pili sabziyan, khas tor pr band gobi, phol gobi or salad ke pate wagera jigar ke lye mufid sabit hote hain in me fiza me pae jane wale zehrile ajza or chemical compounds se bachane ki khasiyat hoti hai. aesi giza jis me chiknai or colestrol ki ziyadti na ho or jis me reshe dar ajza zyada hon na sirf aap ke jigar balke pure jisim ke lye mufid hai.
Sharab noshi se parhez Karen
Sharab noshi jigar ke lye intehai tabah kun sabit ho sakti hai.
Jigar ke lye zehrile or digar compound se dor rahen
Basi chawal, pop corn or mong phaliyan aap ke jigar ko nuqsan pohncha sakte hain.
Rangon, thiner,or gharelo safai ke murkabat se urhne wale bukharat ke qarib dair tak na rahen.
Un me se kuch ashya me phenol hote hain jo aap ke jigar ke lye zehrile sabit ho sakte hain.
Dawa istamal karne se pehle doctor se zaror mashwara Karen
Koi bhi dawa jo doctor ki hidayat ke mutabiq kharidi gai ho ya aap az khud istamal karna chahte hon doctor se mashware ke bagair mat istamal Karen. Laparwahi se dawaon ka istamal un ke rade amal ya munfi asarat ka sabab ban sakta hai.jis se aap ke jigar ko nuqsan pohnchne ka andesha hai.
Hepatitis “B” vaccine Hepatitis “B” se bachao ki sorten
Hepatitis “B” virus tawil arse tak jisim me rakhne wala shakhs ise dosron tak muntaqil bhi kar sakta hai wo log jo is virus se mutasir hochuke hon tawilarse tak ye virus phelate rehte hain. Agarcha un me marz ki koi alamat nazar nahi atin in logon ko hum “sehat mand mariz” keh sakte hain q k khon me virus hone ke bawajud ba zahir ye log sehat mand nazar ate hain.
Hepatitis “B” se bachao ki 2 sorten hain
1 jisim me qudrti ya masnoi tariqe seinfection ke khilaf tahafuz faraham karne wali anti bodies paida hone se qudrati tor pr anti bodies jisim me virus dakhil hone ke bad paida hoti hain jabke yahi kaam vaccine se masnoi tor pr lya jata hai.
2 arzi milne wala tahafuz maslan nomolud bache ki maa me anti bodies milen ya bacha maa ke pehle dudh (colostrums) se anti bodies hasil kare ya anti bodies pr mushtamil vaccine jisim me dakhil ki jae.
Hepatitis “B” ki shidat ke bais har no molud bache or high rask group me shamil fard ke lye vaccine tajwiz ki jati hai. no molud bache ko pedaish ke bad ek mah ki umar me or 6th mah hepatitis “B” se bachao ka injection lagaya jata hai jabke 5 baras ki umar me boster doze tajwiz ki gai hai.
Hepatitis “B” se mutasira fard ki alamat samne an eke 7 din me hepatitis “B” immunoglobulin injection lagaya jana chahye.is ke sath hi hepatitis “B” vaccine bhi di jani chahye magar dosri jaga badal kar.
Vaccine
Kin Afrad Ko Vaccine Di Jae
- tamam balig afrad ko
- intehai khatrat rakhne wale balig afrad, bashamol HBsAg positive afrad ke ahala khana, azdawaji sathi, nason ke zarye nasha karne wale, 6 mah ki mudat me ek se zyada afrad ke sath jinsi taluqat rakhne wale, hum jins parast mard, aese log jo hal hi ne jinsi amraz me mubtala hue hon, hemodai lez ke mariz,aese mariz jin ke lye dai lez tajwiz ki ja sakti ho. Khon ke masnoat lene wale, mehakma sehat ke karkun, senti workers,aese afrad jin ka wasta khon se rehta ho, aese adaron ke mariz,amla or taluq rakhne wale digar afrad batadrij mazor hone wale afrad ke adaron se wabasta hon. Wagera.
Khasosi Note
Wabai elaqon se naqal makani karne walon kocerologic scrining ki jae HBsAg positive positive afrad samne ane pr unhen bimari nimatne kisaholiyat di jaen or un ke azdawaji sharike hayat or ahal khana ko bhi parkha jae agar zarorat ho tounhen vaccine di jae.
- Vaccine se qabal serologic testing aese logon ke lye tajwiz kija sakti hai jo marz intehai khatra or imkan rakhte hon.
Hepatitis vaccine kin afrad ke lye intehai zarori hai
1. Hepatitis “B” vaccine intehai zarori hai agar aap ka partner hepatitis “B” me mubtala ho
2. Aap kisi jinsi arze maslan gonorrhea syphilis me mubtala hon.
3. Hum jins parast hon.
4. Jinsi taluqat ekse zyada afrad se rakhte hon.
5. Injection ke zarye nasha karte hon.
6. Kisi aese afrad ke hamrah rehte hon jo mazman hepatitis “B” (chronic hepatitis) memubtala ho.
7. Health workers ya aesi mulazimat karne wale afrad jin kainsanikhon se wasta parta hai.
8. kadni dailez karate hon.
Hepatitis “B” vaccine
Hepatitis “B” vaccine mehfoz or mosar hai. 1982 se le kar ab tak dunya bhar me lakhon afrad hepatitis “B” vaccine le chuke hain. Vaccine ka cource mukamal karne ke bad booster shots ki zarorat nahi hoti hai.
- vaccine cource mukamal karne ke bad beshtar logon ko is ke bad blood test ki zarorat nahi hoti hai. albata is ke ek se 2 mah ke bad blood test zarori hai agar
- agar aap ka life partner mazman hepatitis ka mariz hai
- agar aap ka madafti nizam durst na ho (maslan aap dai lez karate hon ya aids ka shikar hon).
- Aap aesi mulazimat karte hon jin me aap ka wasta insani khon se rehta ho.
hepatitis “B” ka shikar maa ke no molud bache ke lye 9 se 15 mah ki umar ke lye blood test zarori hai ta k un ke mehfoz hone ka tain ho jae.
Vaccine ka schedule
1. vaccine ki 3doze (0,1,6) mahine di jaen.
2. Ye doze 0,2,4 or 0,1,4 ki tartib se bhi di ja sakti hain, (0 se murad pehli khorak ka waqt 1 se murad ej mh guzarne pr, 6 ya 4 ka matlab 4 ya 6 mah mukamal hone pr).
3. Pehli doze or dosri doze me 4 hafte ka waqfa hona chahye.
4. Dosri or tisri doze me 8 hafte ka waqfa hona chahye.
5. Majmoi tor pr tisri doze ke darmiyan kam az kam 16 hafte ka waqfa hona chahye.
Note
Agar schedule pr amal na ho sake or kisi doze me takher ho jae to schedule az sar no dohrane ki zrorat nahi wahi doze de kar schedule pura kya jae. hepatitis “B” vaccine ke sath dosri kuch vaccine bhi di j sakti hain magar is ke lye elahda siring istamal kya jae.
Hepatitis “B” ke Asarat
hepatitis “B” ka shikar hone ke bad 4 sorten samne asakti hain.
Acute Hepatitis
hepatitis “B” virus se mutasir hone wale 2 tehai afrad me shidat ki bimari samne ati hai. q k aese logon me virus ke khilaf sakht madafti qowat bimari ka mukamal tor pr khatma kar deti hai. aese mariz dobara is virus se mutasir hone ka imkan nahi rakhte hain q k jisim me paida hone wali anti bodies tau mar tahafuz faraham kar sakti hain.
Shadid hepatitis “B” un afrad ko hota hai jo HBV se mutasir ho chuke hon. Shadid hepatitis “B”V infection ka pata chalane ke lye hepatitis “B” sarfen anti jen ke test hote hain. Shadid hepatitis “B” aksar or beshtar gair alamat ke hote hai. ya alamat intehai mamoli dard wagera bachon ke muqable me balig afrad me alamat wali shadid hepatitis “B” hone ke zyada imkanat hote hain. Ye alamt kai hafton balke mahino tak barqarar reh sakti hai.
|
No comments:
Post a Comment